Wednesday, April 1, 2009

Chunaw ki gunj aur netao ki kartut

AAj kal hamare desh mea chunaw ki gahama gahami dikhayee deti hai. lekin chunaw sabd dekhane mea jitana chota hai iska matlab utna hi bada hai aur aaj kal ke naujwan ise samajhane bhi lage hai. Netao ki baat kare to hamea hasi to unke bhasado per aati hai jo wo detea hai. Kabhi kabhi to ye dusaro ke dwara likha hota hai aur wo kewal ismea josh daal kar is andaj mea padhate hai jaise ki unhonea hi likha ho aur jo jo likha hai unhonea kar diya hai. Netao ke janea kab samajh mea aayega ki aaj ka naujawan padha likha hai aur apne field mea specialist hai isliye jo kuch bhi bolana ho to wo samajh kar bole kyo ki galat information dene se wo pakde jayenge aur samaj aur desh mea unki chavi achhi nahi hogi. Rahi baat netao ke criminal record hone ka to ye hamari jimmedari hai ki hum unko desh ki sabse badi panchayat mea jane se kaise rokea. Iskea liye hame khud ko jagruk banana hoga aur apne desh ke hit ke liye swayam kadam badhana hoga. Kyo ki ye jab ek baar chun kar sansad chale jayenge to phir pachtane ke alaawa hamare paas kuch nahi rahega.
Netao ki baat kare to mere hisab se saare neta kewal kursi ki sochate hai chahe wo kisi bhi party se ho aur iske liye wo kuch bhi kar sakte hai maslan apne virodhiyo se haath milana aur kisi jati vises per achhi ya buri tippadi karna ya phir samarthan karna.
Ab hame ye sochana hoga ki hamara farz kya hai to mere hisab se hamara farz ye hai ki hume kewal apne samaj aur desh ke bare mea soch kar hi vote dena chahiye. hame jati visesh ke, party ke bare mea na soch kar ek acheea awam yogya ummidwar ko vote dena chahiye jo hamari samasyao ko samajhata ho na ki samajhane ka natak karta ho. 
Hum ab viswa ke ek bahut hi jimmedaar desh ke rupe mea ubhar rahe hai aur hamare netao ko ye samajhana chahiye ki unki bakwas per hum viswas nahi kar sakte kyo ki agar desh aage badh raha hai to wo tabhi aage badh raha hi kyo ki yaha ki janata aage badh rahi hai. Atah jab janata aage badh rahi hai to uski soch bhi badal rahi hogi aur wo result ko jyada mahatwa degi na ki kewal bhasadbaji ko aur jhute bhasano ko.
Hame aisi sarkaar chahiye ki jo samaj aur desh ke hit mea kaam kare na ki kisi party  ke dabav mea aakar kaam kare iske liye ye jaruri hai ki hum jise bhi jitaye usko purn bahumat pradan kare jisase unake karyo ka vislesan aasani se kiya ja sakega aur us party ke sarkaar ke paas koe bahana bhi nahi hoga.
ant mea ye sochate hue ki hum agle panch salo ke liye is desh ko achhi sarkaar pradan karenge jo desh ke hit mea kaam karegi.

Jai Hind